"Apna Naam Zindagi Btati Woh"

( 7872 बार पढ़ी गयी)
Published on : 30 Jan, 18 14:01

"Apna Naam Zindagi Btati Woh"


Gehri neendo ke sapno mein, dur kahin jhilmilati si,
Khuli aankho se bhi dikhti woh Dil mein aati jaati si..

Kabhi thehar Jaye woh raahat bankar aankho ki udaasi mein,
Kabhi udd jaati pankh lgaakar hothon ki muskurahat si..

Kabhi gum ho Jaye ruth Kar woh, band seep mein ho moti jaise,
Kabhi bhulakar khud ka sab kuch tumko woh manaati si..

Kabhi bechaini ke aalam mein neendo se tumko jagaati si,
Kabhi tapte huye maathe pe haath rakh Kar pyaar se sehlati si..

Ladd leti duniya se tumhare liye, par fir Bhi tumko kuch na btati si,
Rukti Kahan phir bhi patang si Malang woh, pyaar kabhi na chupati si..

Tedhe medhe raasto ko paar karke tum Tak pahonche woh, ho jaise Nadiya ka paani,
Tumse shuru ho kar tum par theharti, ho jaise woh likhi koi tumhari hi Kahani.

Poem by Arshiya Thakral
© CopyRight Pressnote.in | A Avid Web Solutions Venture.