logo

Hai Zindagi Apni ya maut

( Read 40428 Times)

22 Aug, 16 13:13
Share |
Print This Page

- Neetu

Zindagi apnati nhi
Aur maut ne muh mod rakha hai
Gairon ki kya baat karein
Yahan to apno ne hi chor rakha hai
Mushqil hai kehna kaun apna kaun paraya
Charo aur museebaton ne jhakjhor rakha hai
Kis se kahun dil ki baat
Haath sabhi ka maine ab to chor rakha hai
Kya shikayat karu e zindagi tujhse
Yahan koi bhi apna nahi
Maangu zindagi ki dua ya karu maut ki fariyad
Yeh sawal bhi rab ab tujh pe hi chor rakha hai
Naumeed ho chuka hai dil
Intezaar hai saanso ke khud se thum jaane ka
Kyun lamba hota jaa raha hai intezaar
Kya tune bhi mujhse nata tod rakha hai

यह खबर निम्न श्रेणियों पर भी है: Geet-Gazals
Your Comments ! Share Your Openion