logo

GUZRE PAL

( Read 23346 Times)

06 Jul, 19 11:46
Share |
Print This Page

- NEETU SIDANA

GUZRE  PAL

Zindagi ki Kitaab se kuch panne palatne ka mann kiya

Kuch ne khikhila diya, kuch ne num kiya

Bahut se kisse yaad aaye

Bahut si kahaniya yaad aayi

Kuch kisso ne  zindagi ki ehmiyat yaad dilaai

Bahut se puraane dost yaad aaye to

Bahut si unki khatti meethi ladaai

Na jaane kyun is bhaga daud mein

Zindagi kahin peeche chut aayi

Saanse chal rahi hai

Dhadkane bhaag rahi hai

Par zindagi kyun ab lagne lagi paraai

Kabhi muskurahat thi zindagi

Aaj choti - choti baato mein dhoondti 

muskuraahat hai zindagi

Ye safar bhi kuch ajeeb sa hai

Kahi khamoshi to kahi shor sa hai

Har pal har waqt

Kuch na kuch badal reha hai

Jee lo  jee bhar k kyonki dobara na milegi ye zindagi

                                                       


यह खबर निम्न श्रेणियों पर भी है: Poetry Corner
Your Comments ! Share Your Openion