logo

Mann ki Baatein

( Read 26917 Times)

01 Jan, 18 11:27
Share |
Print This Page

Mann ki Baatein
Mann Ki baatein mann hi Jane
Mann ko kaun samjhaye
Mann hi mann se dwand Kare
Aur mann hi mann ko samjhaye
Mann hi soche gam bahut hai
Mann hi dhoond k khushiya laye
Mann jo zidd per aaye to
Jo chahe wo paye
Mann hi hai wo sachcha dost
Jo sahi raah dikhlaaye
Aur mann hi hai wo baawra
Jo vichalit bhi kar jaaye
Jeet bhi Mann se
Haar bhi Mann se
Mann se hi mandir aur Madina
Honslo ki udaan bhi Mann hai
thaan le Mann to haar kabhi na
Mann se chalti duniya sari
Tham jaaye sab gar mann ho bhari
Bana lo gar is mann ko mannmauji
Hogi duniya muthhi mein sari
- Neetu Sidana
यह खबर निम्न श्रेणियों पर भी है: Poetry Corner
Your Comments ! Share Your Openion