logo

Ab Jo Tanhaa Se Hum Hain

( Read 16885 Times)

19 Dec, 16 12:31
Share |
Print This Page

Ab Jo Tanhaa Se Hum Hain Ab jo tanhaa se hum hain
Har taraf se sitam haiN
Zindagi kya nibhaayeiN
Himmatein bhi to kam hai
Ab koi din kahin se, ummeed nahi laata
Ab koi khwaab saaya, bhi to nahi dikhaata
Ab khtm ho chale hai, yaadoN ke saare moti
Ab bharam zindagi ka, kyu nahi toot jaata
RoyeiN magar nahiN chhalkein
Aankhon ko yeh qasam hai
Zindagi kya nibhaayeiN
Himmatein bhi to kam hai
Raahein udaas hai to, kaise kadam uthhaayeiN
Tanhaa si rehguzar se, kya suneiN kya sunaayeiN
Hai sang ki bani hui, boondeiN jo gir rahi hai
Aur kaanch ke hai sapne, ab kis tarhaa bachaayeiN
Ghaayal hai dhadkanein aur
Har saans ek zakham hai
Zindagi kya nibhaayeiN
Himmatein bhi to kam hai
- Prashant Shrivastava
यह खबर निम्न श्रेणियों पर भी है: Poetry Corner
Your Comments ! Share Your Openion